A Nice Ghazal For You...
Jisey Mushkil Se Paya Ho Usey Khona Bhi Parta Hai
Khudi Pe Maan Itna Hai Kabhi Murr Kr Nahi Dekha
Jisey Keh Dun K Mera Hai Usey Hona Bhi Parta Hai
Mujhy Neend Nahi Aati us ki Yaad Aaney K Baad
Magar Ek Khuwab Ki lalach Main Phir Sona Bhi Prta Hai
Hamisha Hansta Rehta Hun Chupa K Gham Mohabbat K
Magar Jb us ka Naam Aaye To Phir Rona Bhi Parta Hai.
Shaheedan-e-Watan K Hausly Thy Deed K Qabil,
Wahan Par Shukr Krty Thy, Jahan Sabr Mushkil Tha.....
On 6th September, Special for Pakistan Army
Har Bar Ki Tarha Is Bar Bhi EID Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga,
Main Ye Eid Bhi Teri Rakhwali Mein Guzraon Ga,
Hathon Mein Raifal Seene Pe Golian Sajaon Ga,
Aaye Watan Main Ye Eid Bhi Teri Sar Hadon Pe Manaon Ga,
Apni Khushian Gham Apne Tere Sath Hi Manaon Ga,
Aye Watan Katt Jaye Sar Tan Se,
Par Teri Qasam Tujhe Bachaon Ga,
Main Ye EID Bhi Teri Sar Hadon Pe Manaon Ga..
On Present
situation of Pakistan
Us Dais Mein
Lagta Hai Adalat Nahi Hoti,
Jis Dais Mein
Insaan Ki Hifazat Nahi Hoti,
Makhlooq-E-Khuda
Jab Kisi Mushkil Mein Phansi Ho,
Sajdy Mein
Parre Rehna Ibadat Nahi Hoti,
Hum Khaak
Nasheeno'n Se He Kiyun Karty Hain Nafrat?
Kya Parda
Nasheeno'n Mein Ghalaazat Nahi Hoti ?
Ye Baat Nayi
Nasal Ko Samjhani Parry Gi,
Uryani Kabhi
Bhi Saqafat Nahi Hoti,
Sir Aankhon
Par Hum Us ko Bitha Lete Hain Aksar,
Jis K Kisi
Waday Mein Sadaqat Nahi Hoti,
Her Shakhs
Sir Pe Kafan Baandh K Nikly,
Haq K Liye
Larrna To Baghawat Nahi Hoti.....
By Wasim Khan Niazi
No comments:
Post a Comment